Sunday 27 May 2012

BABA FARID KA BACHPAN......



jab baba farid ki umr 4 sal ki thi to aapki valida aap se kehne lagi ki beta farid namaz padha karo to baba farid ne kaha maa agr hum namaz padhenge to allah hame kya dega to aapki maa ne jawab diya
beta allah tumhe shakkar dega(baba farid ko shakkar bht achi lagti thi)to baba farid bht khus huye aur jab namaz ka waqt hua to aapki ma kehne lagi beta jao vuzu kar lo jab baba farid vuzu karne gaye to aapki maa ne za namaz bicha diya aur uske kone ke niche shakkar rakh di to jab baba farid ne namaz padh li to baba farid bole ma shakkar kahan hai to maa ne jawab diya beta za namaz ke niche dekho baba farid ne jab za namaz udha kar dekha to shakkar nikli to baba farid bht khus huye aur kehne lage maa hum roz namaz padhenge aur roz khuda se shakkar lenge aise hi baba farid rozana namaz padhte aur rozana jab wo vuzu karne jate to maa za namaz ke niche shakkar rakh deti ek din baba farid apne dosto ke sath bahar khelne chale gaye aur raste me namaz ka waqt ho gaya aur aazan ki aawaz baba farid ke kano me ayi to baba farid apne dosto se kehne lage tum log khelo me khuda se shakkar lekar aata hu to unke dost kehne lage ki kabhi khuda bhi kisiko shakkar deta hai to baba farid ne jawab diya ki tumhe deta ho ya na deta ho mujhe to deta hai aur raste me hi nadi me hi vuzu kar liya aur bhagh kar  aaye aur za namaz bicha kar namaz padne lage to apki valida ne dekha ke beta farid to namaz padh raha hai aaj to gazab ho gaya mene to za namaz ke niche shakkar bhi nahi rakhi  jab baba farid ne salam fera to apni maa se kehne lage ki maa shakkar kahan hai to ma ne jawab diya beta za namaz udha kar dekho jab baba farid ne za namaz udhai to za namaz ke niche shakkar ka oohj(ya ni dehr sari shakkar) tha to baba farid bole maa rozana to thodi si shakkar hua karti thi aaj shakaar ka oohj hai to apki ma ne jawab diya beta roz me rakhti thi aaj khuda ne rakhi hai.

yahan se apka naam baba farid ganj shakar R.A pad gaya.............. khuda hafiz.......
BY: ABDUL SAIFI.....

No comments:

Post a Comment