Thursday, 31 May 2012

HZRAT MANSOOR AUR ANAL HAQ SE LEKAR BABA SAMS TAPREJ TAK


Hazrat mansoor allah ke bht bade amst guzre hain yani bht bade buzurg hazrat mansoor ek badshah ke yahan par kam kiya karte the ap ghode par safa kiya karte the ek din jo aap ke ghode ko khilata tha usne gor kiya ke ghoda din pe din sukhta ja raha hai uski wajah ye thi ke din me to aap ghoda chalaya karte the aur raat me aapki behen le jaya karti thi ek baba mansoor ne kaha ke ye ghoda itna kamzor kyon ho raho hai to nokar ne jawab diya ke huzur din me to ap chalate hai aur raat me apki behen le jaya karti hai to ise khana kab milega to us nokar se hazrat mansoor bale ke aaj rat tum do ghode tayyar rakhna phir aap us soye nahi aur 12 bajne ka intizar karte rahe jese hi 12 baje to aapki behan ghoda le kar nikli to ap bhi un ke piche nikle aap ki behan ek gufa ke paas ja kar ruk gayi aur ander chali gayi aap bhi chup kar uke piche chale gaye ander ja kar dekha to ap ki behan vuzu kar rahi thi to ap ki behan ne aawaz di ke bhai agar itni dur mere piche a gaye ho to ander bhi aa jao to aap chonk gaye ap ander chale gaye to aapki behan ne ap ko bacha hua vuzu ka pani diya wo aisa waisa pani nahi tha wo aabe zam zam tha aap ki bahan wahan ibadat karne jati thi to jab aap ne us pani ko piya to aap kehne lage "anal haq" "anal haq" anal haq ke mayne hote hain meri behen anal haq par hai aap aise hi galiyon me ghumne lage aap diwane ho gaye aur par katl ka fatwa lag gaya aap fansi lagai gayi jo fansi lagane aaye the wo molana room the aap fansi laga di gayi phir bhi aap ki zaban ye hi bal rahi thi ke anal haq anal haq phir aap ko jalaya gaya to ap raakh bhi yahi bol rahi thi ke anal haq anal haq phir aap ki raakh ko pani me baha diya gaya aur sab log apne ghar chale gaye kuch dino baad wahan se hazrat luqman gujar rahe the to aapne dekha ke pani me ubaal uth raha hai aur pani ke raha hai anal haq anal haq aapne us paani ko ek botal me bhar liya aur us botal par likh diya zehre ilahi yani khatarnak zehar aap haakim ka kam karte the phir kuch dino baad molana room ki beti ke pet me dard hone laga bht zor se hone laga molana room apni beti ko hazrat lukman ke paas le gaye wahan par haakim shab the nahi to molana room bahar chale gaye lekin unki beti ander hi reh gayi aur unke aur tez dard hone laga phi ap ki nazar zehre ilahi par gayi aap ne use utha kar pi liya to ap ka pet ka dard to band ho gaya par aap hamal se ho gayi yani pet se wo bachcha peda ohaa aur wo hi baba sams taprej the to molana room us bachche ko kahin fenk aaye jaise jaise din beette gaye aap bade hone lage aur bade ho kar allah ke mastae ban gaye aur ek din aap molana room ke kutub khane me jaa kar khade ho gaye tab molana room bacho ko padha rahe the to baba sams taprej ne "AE MOLVI YE KYA HAI" to molana room ne kaha"BABA YE KAAL ISE TU NAHI JAANI" to baba sams taprej ne jaise hi aankh utha kar dekha to pure kutub khane me aag lagne lagi to molana room ne kaha"AE BABA YE KYA HAI TO BABA NE KAHA WO KAAL THA JISE HAM NAHI JANI AUR YE HAAL HAI ISE TU NAHI" ye keh kar ap chale gaye phir molana room ko sapna dikhayi diya ke baba se murid ho jao aur baba ko bhi sapna dikhai diya ke molana ko murid kar lo lekin dono ne nazar andaz kar diya phir aap phir aap multanj shehar chale gaye wahan aap rehne lage wahan ek badshah tha jiske ladke ko 40 molvi padhane aate the to wo molvi badshah se kehte the ki quran me aisi dua hai ke agr murde par padh kar phunk maar do to murda zinda ho jai to ittifak se ek din badshah ka ladka mar gaya phir badshah ne un 40 molviyon ko bulaya aur kaha karo zinda mera ladka agr ye zinda na hua to me tumhe marva dunga to sare molvi darr gaye aur quran padhne lage lekin bachcha zinda nahi hua to un molviyon ne kaha ke ek baba hai wo ise zinda kar denge to badshah ne kaha ke bula kar laya jay to kuch molvi baba sams taprej ke paas gaye aur kehne lage baba chalo badshah ne bulaya hai uska ladka khatm ho gaya hai to baba ne kaha ke me chala to jaunga lekin mujh par kufr ka fatwa lag jaega to molvi kehne lage nahi aap chalye nahi lagega to aap chal diye badshah ke ladke ki laash ke paas ja kar aap kehne lage ki kumbiiznillah yani uth allah ke hukm se wo nahi utha phir aap ne dubara kaha ke uth allah ke hukm se to wo nahi utha phir aapne teesri martaba kaha ke uth allah ke hukm se to wo nahi utha phir aap ne kaha ke kumbbiizni ke uth mere hukm se (aap sabhi soch rahe honge ki baba allah se bhi bade ho gaye lekin ye sahi hai jab koi allah wala koi kaam karta hai to wo wo nahi hota wo khuda hota hai) to wo ladka uth gaya aur badshah khush ho gaya lekin ye baat molviyo ko lag gai aur unhone badshah ko baba ke khilaf bhadka diya aur kehne lage badshah ji baba ne apne aap ko khuda se bada bataya to badshah ne jallado ko hukm diya ki inki khaal khinch lo to baba ne apni khaal ko hukm diya ke ai khaal tu mere jism se alag ho ja to khaal alag ho gayiaur aap wahan se bhagne lage to raste me ek kasai ki dukaan padi to aapne kaha ke tu thoda gost kaat kar mere haath par rakh de to kasai ne aapka thoda sa gost kaat kar aap ke haath par rakh diya phir ap ek pahad ki choti par gaye aur suraj se kaha ke tu bhi sams aur me bhi sams aaja sek mere maas ko to suraj niche chala aaya aur phir multan ke seher ke logo ke dimag ublne lage to log aap ke paas aaye aur kaha baba hame bachao to baba ne kaha ke tumne mujhe yahan bhi chen nahi lene diya ab to mera maas qayamat ke din hi sikega.................................................

aur phir aap apne makam par chale gaye phir aapko dubara sapna aaya ke molana room ko murid kar lo aur molana room ko bhi sapna aaya ke baba se murid ho jao to phir baba molana room ke yahan gaye to to molana room nadi ke paas bethe the apni kitabe liye hue to aapne dekha to wo kitabe nadi me gir gayi to molana room ne kaha ke baba ye kya kiya ye allah kitabe ki kitabe hain to baba ne kaha ke apne allah se hi uthwa le to molana room bar bar kehne lage baba roko inhe to baba ne machliyo ko hukm diya ke kitabe samet laao to machliyan le aayin to molana room kehne lage baba mujhe murid kar lo to baba kehne lage murid bad me karunga pehle ye sharab pech kar aao aur sharab ka matka molana room ke sar par rakh diya aur piche se danda mara jisse pure kapde sharab me ho gaye aur dukan se sharab kharid kar laye aur phir baba ne kaha ke mere liye ek kuwanri ladki ka intizam karo to molana room ghar gaye aur apni biwi se kehne lage ke hame apni kuwanri ladki kon dega hum apni hi ladki de dete hain to molana room ne baba ko ghar bulakar apni ladki aap ke kamre me bhej di to aap ne ander se kundi laga li aur bachche ban gaye aur apni maa ka dudh piya to bahar jaise hi bachche ki rone ki awaaz gayi to molana room darwaze me dekhne lage to molana ne dekha ke ander bachcha hai to aap ne darwaza pitne lage to baba phir se apne asli rup me aa gaye to baba ne darwaza khol kar kaha ke kya hua molana ne kaha ke mene ek bachche ki aawaz suni to aap ne kaha koi nahi hai phir aap nr kaha ke ab me tumhe murid karunga aur murid hone se pehle tum ek baat man ni hogi to molana bole kya to aap ne kaha ke tum ek bhi time ki namaz nahi padoge to molana room ne haa kar di lekin molana namaz ke bht paban de to aise hi din bitte gaye to ek din baba ne kaha ke jao room bazar se saman le kar aao to molana chale gaye saman lete lete magrib ka time ho gaya molana ke kano me aazan ki aawaz aayi to aap ne socha kyon na namaz padh lu yahan to huzur bhi nahi he unhe pata nahi chalega to molana namaz padhne masjid me chale gaye to aur namaz padhi aur dua bhi nahi mangi aur bhagne lage to molana jaise hi bahar aaye to sab kuch gayab ho gaya aur aap aur tez bhagne lage to kuch dur chal kar aap ko ek khode saksh dikhai diye aur unhone aapka hath pakad liya aur kaha molana kahan bhage jaa rahe ho to molana ne kaha ke me aapko jaanta hu me aapse baad milunga aur haath chuda kar phir bhagne lage aur phir huzur ki haveli nazar aayi aur wahan gaye to huzu bahar hi khade the aur kehne lage ai molvi padhya ya namaz to aap chonk gaye ke huzur ko kaise pata laga phir baba ne kaha tujhe raaste me ko mila tha to molana ne kaha ke pata nahi qakab posh the to wo rasool allah the aur unse keh kar aaya ke me tumhe jaanta hu agr tu aaj ki namaz nahi padhta to teri mulakat aalah se karwata/.....................

KHUDA HAFIZ...

BY: ABDUL SAIFI







Sunday, 27 May 2012

BABA KI MULAKAT KWAJA GARIB NAWAZ SE AUR UNKA MURID HONA



Jab baba farid ajmer gaye to kwaja ji ek darkht se qamar laga kar bethe the aur wo darkht sukha hua tha to aapne socha jis darkht se sarkar qamar laga kar bethen hain us darkht ko sukha nahi rehna chahiye use to hara bhara hona chahiye to aapne us darkht pe nazar dali aur wo hara bhara ho gaya jab kwaja ji ne nazar dali to wo darkht phir se sukh gaya phir se baba farid ne nazar dali to wo darkht phir sukh gaya aisa teen martaba hua to kwaja ne baba farid se kaha ke farid yahan tum murid hane aye ho ya khuda se ladne aye ho(is hamare devbandi hazrat kahenge ki kwaja garib nawaz apne aap ko khuda keh rahe hain) kwaja garib nawaz bole ki mazri mola to ye hai ke ye darkht sukha hi rahe aur tum ise hara bhara kar dete ho jab kwaja ji ne kaha ke jao dehli jao wahan qutubuddin bakhtiyar kaki tumhai khabar lega ( ap is jagah par mohhabat dekhiye ke bata na bana kar pota bana liya kyonki pote se zyada pyar hota hai)



aur jab baba farid dehli aaye to hazrat qutub shab bachcho ke sath bachcha ban kar khel rahe the to jab baba farid ne apni nazar-e-kimiya dali to aapne pehchan liya to aapne man me kaha ke pir to mila par bachcha hai aur qutub sahab ne nazar dali to aapne bhi pehchan liya to aap khel chod kar baba farid ka hath pakad kar aapne aastane par le gaye jhan aap rehte the to aapne kaha ke farid tum yahan betho me abhi aata hun aur ye keh kar aapne hujre me chale gaye aur jab hujre se bahar aaye to aap apne asli rup me aa gaye jab baba farid ne dekha to aapse bhi lambi dadthi aur bht lamba kurta hath me benth to qutub sahab bole farid jab yahan aaye the to kaya keh rahe the ke pir to mila par bachcha hai jao tumhe murid nahi karta to baba farid bole hazrat murid mat karo bas apne sath rehne do roz aapke vuzu ke liye pani bharunga aapne izazat de di apne sath rehne ki to sardiyon ka mosam tha to roz baba farid chule me aag daba kar rakh dete the taki vuzu ka pani garm kar sake ek aisa hua ke raat ko baris ho gayi aur aag kharab ho gayi to jab ap subha uthe to aapne dekha ke aag to kharab ho to aap meholi ki basti me aag mangne nikal gaye sab ke ghar aag mangi par kise ke ghar ag nahi mili phir tavayaf ke yahan gaye jo usi basti me rehti thi thi to wo tavayaf aap par fida thi to jab aap us ke yahan par gaye to aapne kaha mujhe thodi si aag de do to usne kaha me aag to de dungi par tujhe mujhse shadi karni padegi to aap ne kaha ke me shadi nahi karunga tu aur kujh bhi mang le to usne kaha agr tu mera nahi ho sakta to me tujhe kisi aur ka bhi nahi hone dungi tab usne kaha ke tu apni ek aankh de de to aapne kaha ke nikal le to usne kaha me nahi nikalungi tu apne aap nikal kar de use aap ko chaku la kar de diya to aapne apni ek aankh nikal kar de di aur aag lekar aa gaye aur apni aankh par patti bandh li vuzu ke liye pani garm ka diya jab qutub sahab vuzu kar rahe the to aap kehne lage ke farid ye aankh par patti kyoun bandhi hai to aap ne jawab diya ke hazrat aankh aayi hai to aapne kaha ke agr aankh aayi hai to phele se sawai hai zara patti to khol pehle se badi hai to aap ne phir kaha nahi hazrat ji aankh aayi hai jab nahi mane to qutub sahab ne aap ke sar mar diya jisse wo pati khul gayi dekha to ankh pehle se bhi khubsurat thi.....

ek baba farid ko qutub sahab ne bazar saman lane ke liye bheja to jab aap bazar gaye to wahan par ek aadmi apna naqab udha kar ye aawaz laga raha tha ke jo mujhe ek bar dekh le wo zannati ho jayga to aapne saman nahi liya aur qutub sahab ke pas bhaag kar aaye to qutub sahab ne kaha farid saman nahi laye to aapne jawab diya ke huzur bazar me ek aadmi ye keh raha hai ke jo mujhe ek baar dekh le wo zannati ho jayga to aapne kaha ke phir dekh kar nahi aaye to aapne jawab diya ke huzur aap se pehle kese dekh sakta hu to aapne kaha farid agr jab nahi dekha tha to ab dekh le aur ye keh kar apna naqab utha diya ................ us jagha par bhi qutubuddin bakhtiyar kaki R.A. hi the

jab baba farid ne kaha ke hazrat ab mujhe murid kar lejiye to aap ne kaha ke abhi nahi karunga jaa aisi ibatad kar ke tere liye khana zannat se aaye to aap ek gufa me ja kar beth gaye aur ibatad me lag gaye teen din ho gaye bhuke piyase phir ek din ek aadmi khana le kar aaya to aap us khane ko lekar qutub sahab ke paas gaye aur kaha ke huzur kaha to aapne kaha ke kahan se aaya to aane kaha ke ek aadmi lekar aaya tha to aapne kaha ye zannat ka khana nahi zannat ka khana koi aadmi lekar nahi aayega to aap phir ek quyen me jaa kar ulte latak gaye aur kai din ho gaye bht kamzor ho gaye to ek koaan aaya aur aap par chonch marne laga to aapne us koaaen se kaha ke kaga sab tan kahiye kahiye chun chun maas par ye do nena mata kahiye piya milan ki aas phir wahan par kwaja garib nawaz aaye aur aapko ek gufa me litaya aapki aankho par hath phera tab aapki aankh khuli to aapk ke liye aasman se zannat se ek thaal aa rahi thi to us thaal par kwaja ji hath kara to wo thaal wapis chala gaya phir dubara aaya to qutub sahab ne hath kara wo phir wapis chala gaya phir dubara aaya to haji sharif hath kiya(ye kwaja garib nawaz ke dada pir hain) to wo phir wapis chala gaya phir dubara aaya jab baba farid hath kiya to wo thal hatho par aa gaya tab qutub sahab ne aap ko murid kiya .............. tab mehroli me ye jaap padha gaya  HAQ FARID YA FARID.....

BABA FARID KA BACHPAN......



jab baba farid ki umr 4 sal ki thi to aapki valida aap se kehne lagi ki beta farid namaz padha karo to baba farid ne kaha maa agr hum namaz padhenge to allah hame kya dega to aapki maa ne jawab diya
beta allah tumhe shakkar dega(baba farid ko shakkar bht achi lagti thi)to baba farid bht khus huye aur jab namaz ka waqt hua to aapki ma kehne lagi beta jao vuzu kar lo jab baba farid vuzu karne gaye to aapki maa ne za namaz bicha diya aur uske kone ke niche shakkar rakh di to jab baba farid ne namaz padh li to baba farid bole ma shakkar kahan hai to maa ne jawab diya beta za namaz ke niche dekho baba farid ne jab za namaz udha kar dekha to shakkar nikli to baba farid bht khus huye aur kehne lage maa hum roz namaz padhenge aur roz khuda se shakkar lenge aise hi baba farid rozana namaz padhte aur rozana jab wo vuzu karne jate to maa za namaz ke niche shakkar rakh deti ek din baba farid apne dosto ke sath bahar khelne chale gaye aur raste me namaz ka waqt ho gaya aur aazan ki aawaz baba farid ke kano me ayi to baba farid apne dosto se kehne lage tum log khelo me khuda se shakkar lekar aata hu to unke dost kehne lage ki kabhi khuda bhi kisiko shakkar deta hai to baba farid ne jawab diya ki tumhe deta ho ya na deta ho mujhe to deta hai aur raste me hi nadi me hi vuzu kar liya aur bhagh kar  aaye aur za namaz bicha kar namaz padne lage to apki valida ne dekha ke beta farid to namaz padh raha hai aaj to gazab ho gaya mene to za namaz ke niche shakkar bhi nahi rakhi  jab baba farid ne salam fera to apni maa se kehne lage ki maa shakkar kahan hai to ma ne jawab diya beta za namaz udha kar dekho jab baba farid ne za namaz udhai to za namaz ke niche shakkar ka oohj(ya ni dehr sari shakkar) tha to baba farid bole maa rozana to thodi si shakkar hua karti thi aaj shakaar ka oohj hai to apki ma ne jawab diya beta roz me rakhti thi aaj khuda ne rakhi hai.

yahan se apka naam baba farid ganj shakar R.A pad gaya.............. khuda hafiz.......
BY: ABDUL SAIFI.....
baba farid ganj shakar RA.