Jab baba farid ajmer gaye to kwaja ji ek darkht se qamar laga kar bethe the aur wo darkht sukha hua tha to aapne socha jis darkht se sarkar qamar laga kar bethen hain us darkht ko sukha nahi rehna chahiye use to hara bhara hona chahiye to aapne us darkht pe nazar dali aur wo hara bhara ho gaya jab kwaja ji ne nazar dali to wo darkht phir se sukh gaya phir se baba farid ne nazar dali to wo darkht phir sukh gaya aisa teen martaba hua to kwaja ne baba farid se kaha ke farid yahan tum murid hane aye ho ya khuda se ladne aye ho(is hamare devbandi hazrat kahenge ki kwaja garib nawaz apne aap ko khuda keh rahe hain) kwaja garib nawaz bole ki mazri mola to ye hai ke ye darkht sukha hi rahe aur tum ise hara bhara kar dete ho jab kwaja ji ne kaha ke jao dehli jao wahan qutubuddin bakhtiyar kaki tumhai khabar lega ( ap is jagah par mohhabat dekhiye ke bata na bana kar pota bana liya kyonki pote se zyada pyar hota hai)
aur jab baba farid dehli aaye to hazrat qutub shab bachcho ke sath bachcha ban kar khel rahe the to jab baba farid ne apni nazar-e-kimiya dali to aapne pehchan liya to aapne man me kaha ke pir to mila par bachcha hai aur qutub sahab ne nazar dali to aapne bhi pehchan liya to aap khel chod kar baba farid ka hath pakad kar aapne aastane par le gaye jhan aap rehte the to aapne kaha ke farid tum yahan betho me abhi aata hun aur ye keh kar aapne hujre me chale gaye aur jab hujre se bahar aaye to aap apne asli rup me aa gaye jab baba farid ne dekha to aapse bhi lambi dadthi aur bht lamba kurta hath me benth to qutub sahab bole farid jab yahan aaye the to kaya keh rahe the ke pir to mila par bachcha hai jao tumhe murid nahi karta to baba farid bole hazrat murid mat karo bas apne sath rehne do roz aapke vuzu ke liye pani bharunga aapne izazat de di apne sath rehne ki to sardiyon ka mosam tha to roz baba farid chule me aag daba kar rakh dete the taki vuzu ka pani garm kar sake ek aisa hua ke raat ko baris ho gayi aur aag kharab ho gayi to jab ap subha uthe to aapne dekha ke aag to kharab ho to aap meholi ki basti me aag mangne nikal gaye sab ke ghar aag mangi par kise ke ghar ag nahi mili phir tavayaf ke yahan gaye jo usi basti me rehti thi thi to wo tavayaf aap par fida thi to jab aap us ke yahan par gaye to aapne kaha mujhe thodi si aag de do to usne kaha me aag to de dungi par tujhe mujhse shadi karni padegi to aap ne kaha ke me shadi nahi karunga tu aur kujh bhi mang le to usne kaha agr tu mera nahi ho sakta to me tujhe kisi aur ka bhi nahi hone dungi tab usne kaha ke tu apni ek aankh de de to aapne kaha ke nikal le to usne kaha me nahi nikalungi tu apne aap nikal kar de use aap ko chaku la kar de diya to aapne apni ek aankh nikal kar de di aur aag lekar aa gaye aur apni aankh par patti bandh li vuzu ke liye pani garm ka diya jab qutub sahab vuzu kar rahe the to aap kehne lage ke farid ye aankh par patti kyoun bandhi hai to aap ne jawab diya ke hazrat aankh aayi hai to aapne kaha ke agr aankh aayi hai to phele se sawai hai zara patti to khol pehle se badi hai to aap ne phir kaha nahi hazrat ji aankh aayi hai jab nahi mane to qutub sahab ne aap ke sar mar diya jisse wo pati khul gayi dekha to ankh pehle se bhi khubsurat thi.....
ek baba farid ko qutub sahab ne bazar saman lane ke liye bheja to jab aap bazar gaye to wahan par ek aadmi apna naqab udha kar ye aawaz laga raha tha ke jo mujhe ek bar dekh le wo zannati ho jayga to aapne saman nahi liya aur qutub sahab ke pas bhaag kar aaye to qutub sahab ne kaha farid saman nahi laye to aapne jawab diya ke huzur bazar me ek aadmi ye keh raha hai ke jo mujhe ek baar dekh le wo zannati ho jayga to aapne kaha ke phir dekh kar nahi aaye to aapne jawab diya ke huzur aap se pehle kese dekh sakta hu to aapne kaha farid agr jab nahi dekha tha to ab dekh le aur ye keh kar apna naqab utha diya ................ us jagha par bhi qutubuddin bakhtiyar kaki R.A. hi the
jab baba farid ne kaha ke hazrat ab mujhe murid kar lejiye to aap ne kaha ke abhi nahi karunga jaa aisi ibatad kar ke tere liye khana zannat se aaye to aap ek gufa me ja kar beth gaye aur ibatad me lag gaye teen din ho gaye bhuke piyase phir ek din ek aadmi khana le kar aaya to aap us khane ko lekar qutub sahab ke paas gaye aur kaha ke huzur kaha to aapne kaha ke kahan se aaya to aane kaha ke ek aadmi lekar aaya tha to aapne kaha ye zannat ka khana nahi zannat ka khana koi aadmi lekar nahi aayega to aap phir ek quyen me jaa kar ulte latak gaye aur kai din ho gaye bht kamzor ho gaye to ek koaan aaya aur aap par chonch marne laga to aapne us koaaen se kaha ke kaga sab tan kahiye kahiye chun chun maas par ye do nena mata kahiye piya milan ki aas phir wahan par kwaja garib nawaz aaye aur aapko ek gufa me litaya aapki aankho par hath phera tab aapki aankh khuli to aapk ke liye aasman se zannat se ek thaal aa rahi thi to us thaal par kwaja ji hath kara to wo thaal wapis chala gaya phir dubara aaya to qutub sahab ne hath kara wo phir wapis chala gaya phir dubara aaya to haji sharif hath kiya(ye kwaja garib nawaz ke dada pir hain) to wo phir wapis chala gaya phir dubara aaya jab baba farid hath kiya to wo thal hatho par aa gaya tab qutub sahab ne aap ko murid kiya .............. tab mehroli me ye jaap padha gaya HAQ FARID YA FARID.....
ya frid haq frid
ReplyDeleteMashallah huq farid yaa farid
ReplyDeleteHAQ FARID YA FARID
ReplyDeleteHaq farid ya
ReplyDeletefarid
Ya farid Baba farid
ReplyDelete